Ek kahaani meri bhi..

Sunsaan sadak thi..
Me chalte jaa rhi thi..vese to me jungle me rahti hu..pr vaha bhi kuch khane ka na mil paaya..khane ki talash krte krte me ek raste pr jaa pahunchi…..chalte ja rhi thi..chaalte jaa rahi thi..
Agal bagal log dikh rhe the pr me to bezubaan jaanwar unko bolti bhi kese ki muze bhuk lagi he..Insaan muze samajh nahi paate..pahle socha mene ki bol du me kuch par me toh thahri ek Haathi..Toh aap sab toh jaante hi he agar me kuch bolti toh insaan darr jaate aur upar se me thahri JANGALI JANWAR.  Marne ki koshish karte muze..aur pata nhi kya kya krte..sab tahasnahas ho jaata..isliye mene chup rahna behtar samjha..
Fir me vaha se thoda aage chalti gayi,,aur aage chalti gayi..
Bahot bhuki thi me..Pyaasi bhi thi,Paani tk nhi naseeb hua tha mere….Muze apni parwah hargij naa thi…me apne pyare jungle se koso dur aayi mere bachche ke liye..
“Jee haan Maa bananewali hu me..Hai na ye kitni khushi ki baat??”
Mere bachche ko bhuk to lagi hogi..pyaas bhi lagi hogi isiliye toh apna ghar..apna jungle chodkar me khaane peene ki talaash kar rahi hu..
Kuch der aage chalte gayi..Vaha kuch bhale log the..Unhone muze ek fal khaane ko diya.. sabse pahle toh mene unke liye dua maangi..
“He bhagwaan bhala ho in logo kaa inhone muze binaa mange hi khane ke liye fal de diya..”
Fir mene apne bachche se bhi kaha “ Dekha mere bachche kitne bhale log he unhone mere man ko samjha aur muze khane ke liye de diya..Ab tum aur bhuke nahi rahoge..”
Fir mene vo fal khaya..par vo fal mere gale me atak gaya..aur andar se ekdam dhamaka ho gya gale..ekdam se maano mera gala kisi ne jalaya ho..muze kuch samajh nahi aya..ek toh me bezuban upar se vo insaan vaha se chale gaye the jinhone muze vo fal diya.,Me vahi se jo rasta mila chalti gayi paani ki talaash me..aage jaa k nadee dikhayi di me jhatke nadi ke andar jaakar pani gale me liya..aur apna muh kholke paani ki thandak ko gale se laga rhi thi..Usase nuze thoda aram mila..Mene socha pani se bahar nikalu par jese hi me thoda rahat k liye paani k baahar muh kiya..fir se muze galne me jalne lagaa..mene mahsoos kiya meri jibh ab nahi rahi..insaano ne us fal me kuch milaya tha jis wajah se mere jibh ke chithade hog aye,,mera jabda kharab ho gaya pura..
Mene fir bhi haar nahi maani..muze jinda rahna tha..mere bachche ko dekhna tha..isliye ghanto tak paani me rahi me..Muze paani se bahar nikalne ke liye kuch insaan vaha par aa gye..Un insaano ko aksar mene janglo me ghumate dekha he..Vo muze bahar nikalne ki koshish kar rhe the….par muze nahi jaana..unhone mere Sund ko rassi lagayi..Shayad unko laga ho ki me fas gayi hu..par aise nahi tha…muze bahar nahi jaana tha….muze marna nahi he..agar me paani se bahar nikal jaungi toh me mar jaungi..Me marna nahi chahti..muze kisi bhi halaat me bachna he..Kuch der baad achanak se mera sharir sunn padne lag gaya.me samajh gyi mere naseeb me sirf itnihi jindagi jeena likha he..ab toh na me bach paungi na mera bachcha..
Fir ek baar mene apne bachche ko akhiri baar mahsoos karke usase baat karne ki koshish ki…..
“Maaf karna beta..me tumhe jindagi nahi de paayi..apne god me nahi khilaa payi..Me tumko in haivano se nahi bachaa payi..mene toh vishwas kiya tha inpar..Khane se pahle khub dua di thi,par inhone to meri jindgi aur mera bachcha muzse cheen liya…..”
Achanak se mere bachche ke kuch shabd mere kaanpar pade..
“MAA,Apki koi Galati nahi he..insaano ki galti he..me toh abhi paida nahi hua pet me hi mar raha hu..me bhagwan k paas jaakar unse kahunga ki me agli baar bhi apke hi koke se janm lu..aur me unhe ye jarur kahunga..ki ham dono ko insaan ka janm kabhi na de..ham jaanwar hi thik  he..”
Ye shabd mere dil ko chug aye..Ek ummid jag gayi dil me agala janm ho..aur mera bachche ko godi me khila pau..
”Par insaan ka janm na dena bhagwan “
Mera pura sharir sunn ho chukka he..
Muze nahi pataa meri awaj aap sun paa rhe he ki nahi..par insaano ye kuch shabd tumhare liyr he…
“Acha hi hua ki me insaan nahi hu,
Teri tarah me haivaan nahi hu,
Kya Galati ki thi mene,
Jo is kadar tune muze tadap tadap kar mar diya..
Fal khane ko dekhar,
Muze meri aant se jalaa diya..
Me tumhe baddua toh nahi dungi..
Par bhagwaan se insaaf ki ummid rakhungi..
Muze jeena tha insaano..
Muze jeena tha..Apne nanhi si jaan ke sath..”

Aur kuch is tarah meri aankhe hamesha ke liye band ho gayi..

Comments

Post a Comment

Popular Posts