The end of everything

Ye kahaani he shanaya ki..23yrs.. Introvert girl.
Shanaya bachpan se pyar ke liye tarasati thi..Uske parents hamesha unke kaamo me busy rahte the.Paise kamane ke chakkar me apne beti ko hi vo akele kar rahe hai ye shayad unke samajh me nahi tha
Shanaya ke jyada dost nahi the,Aur jo the sab apni jindgi me busy rahte the,shanaya jab naye office me joi hui to uska pahla dost tha varun..
Varun ko jab pata chala ki shanaya ke jyada dost nahi he,to vo use attention dene lag gaya uske sath vo chai ki nukkad par jaana,lunch time me uske sath rahna, office aate jate time uske sath rahna sab karta tha.. Shanaya Varun se jyada attached hone lagi thi..Jo pyar aur care vo hamesha chahti thi vo use Varun se mila..
Shanaya Varun se bahot pyar karne lagi thi,Ek din shanaya ne varun se 5 min baat karni hai bolke time manga aur shanaya ne varun ko apne pyar ka Izhar kiya to varun ne kaha"Me samajhta hu ki tum mujhse pyar karti ho,Par meri jindgi me koi aur hai"
"Thik hai" kahke shanaya vaha se nikalne lagi....
Varun ne uska hath pakadte hue kaha "Mujhe maaf karna mene tumhe kabhi bataya nahi,meri usase shadi bhi honewali hai jaldi,par tum akele thi mujhe bhi tumse baat karna acha lagta tha, mene bhi itna kuch hoga socha nahi tha,I am sorry,Mere vajah se tumhara Dil dukha,par me tumhara dost hamesha rahunga,jab bhi mujhse koi help chaiye ho to jarur batana..As a friend I will be there Always.."
Shanaya hath chudate hue "Jo ho gaya so ho gaya varun,shayad galati meri hi thi me hi galat jagah dil laga bethi,but koi baat nahi,tumse itna bhi pyar nahi karati ki mujhe hurt ho..aur me kabhi akele nahi thi mere mom dad,aur mere aur bhi friends he jo mere sath hai,ye jo bhi kuch mene bola vo tum bhul jao..Timepass ke liye kaha tha mene.aur ha vo ladki bahot lucky he jise tum mile..and jisase tum pyar karte ho vo tumhari life partner hone vali hai,aur kya chaiye jindgi me,meri taraf se tumhe Congratulations..Shadi me jarur bulana..Bye" kahakar shahana vaha se jane lagati he utne me varun kahta hai "To tum mujhe timepass ke liye rishta rakhna chahti thi bas,fir to acha hi hua ki tumhare jaisi ladki ke sath nahi hu mai..mene kabhi socha bhi nahi tha tum aisi ladki ho.. Mujhse ab dosti ka bhi rishta mat rakhna..dafa ho jaao yaha se"
Shahana bina kuch kahe vaha se chali jati he..

Shahana bahot tut gayi,usne kya hi expect kiya tha..hamesha se vo akele rahi he,bas vo hi samajh sakti he uske akelepan ka dard..Varun ke samne to usne bol diya timepass kar rahi thi,par asal me vo bahot pyar karne lagi thi vo..
Varun ko khud ki galati ka realize nahi hua aur jo muh me aye bol diya shahana ko..Varun agar use itna attention nahi deta to shayad shahana usase attached hi nahi hoti..Varun ne to ek pal me sabse piche hat gaya, attached to shahana thi na.. Jindgi  shahana ko ek aur gahara ghav de gayi..
Jis vajah se shahana ne drink,smoke clubbing sab shuru kar diya..Uske aise behavior ke karan uske parents ne bhi use bahar nikal diya..Varun ne office colligues ko bata diya ki shahana ne use propose kiya vo bhi timepass karne vali ladki hai bolke....in sabse uske job par bhi asar padne laga..Sab use galt najaro se dekhne lag gaye..Job se bhi nikal diya gaya..
Shahana ke pass Kuch nahi bacha tha..Har gayi thi puri tarike se..Na koi rishta,na dost,na job,na paise..
Bacha tha to akelapan,Rona chahti thi par raste par royegi kaha upar se kisi akele ladki ko dekh ke har koi use nochna chahta hai..
Ek hi rasta tha uske pass,maut ka..
Chalte chalte ja rahi thi bagal me highway tha..Gadiya aa rhi thi..jaa rahi thi..Bina ek pal bhi soche samne se anewali badi gadi ke niche khud gayi.....us gadi se vo puri trike se kuchal di gayi..aur kuch is tarah hamesha ke liye is zalim duniya ko Alwida kah gayi..
Hamesha ke liye..

Galati kiski thi in sab me..bachpan se maa baap ne thoda to wakt diya hota..Paisa hi sab nahi hota..Varun ki bhi thodi galati thi hi..Use itna attention nahi dena tha..sach chupane k jarurat nahi thi..Uski office me beizzati karwayi vo alag.. Isliye usne nasha ka rasta chuna..par sab hi kho bethi..Rishtey to thik se the nahi,Na ghar bacha na paisa..aise log aksar Kafan odhne ke baad bhi lawaris rah jate hai..

Comments

Post a Comment

Popular Posts