Compromise 😔

Compromise Na chahte hue bhi karna padta hai..Pata nahi iske siva jindgi kyu nahi chalti..ye jindgi aisi hi hoti hai na..chahe hame kitna bhi taklif ho kabhi kabhi sab accept karna padta hai..
Kabhi kabhi to hame bachoan se hi compromise karna padta hai..kuch bachche hote hai jinke maa papa unhe kitna pyar karte hai but materialistic chije nahi de paate..kuch bachche hote he har ek pal maa baap ke pyar ke liye taraste hai..jo bachche apne maa papa ke pyar ke liye taraste hai na hamesha pyar hi dhundhte rahte hai..ki koi to pyar kare,care kare..par koi nahi karta kyuki jaise jaise vo bachche bade hone lagte hai unko dar lagne lagta hai logo se,kisi ke sath ghulnemilne se..ki kahi unhe dil lagake bich raaste me chod na jaaye..aur agar aise kisi ladki ke sath ho to uski to jindgi bachpan se hi akelepan me gujarti hai..
School me, collage me aise bachcho ko hamesha alag tarike se treat kiya jata hai,Unko bar bar nicha dikhaya jaata hai,vo bachche nahi kah paate kisi ko kuch..kyuki unke pass nahi hoti himmat ki vo kuch kisi ko bole..Unko kaise tese compromise karke apni padhai puri karni padhti hai..Galtise unme koi talent ho na to bhi kisi ko kadar nahi hoti..unke apne gharwale itne buri tarike se taang khichenge naa ki kabhi dobara vo us raaste par jaa hi na paaye.Bahot kam aise bachche hote hai jinhe bahot supportive aur caring life partner milte hai..agar galtise bhi kisi galat insaan se shadi ho khaas kar ke ladkiyo ke liye..to unke liye naa maa papa ka ghar bachta hai na hi pati ke ghar me khush rahte hai..khud ke pairo pr khade hone ki koshish karna chaho to bhi vo nahi kr sakte kyuki itne buri tarike se unko giraya jaata he ki kabhi uth hi naa paaye..Sabka kahna bas ek hi hota hai ladkiyo ke liye.. Compromise karo..Tumhari jindgi tumhari nahi hai..shadi ke pahle bas maa baap ne paal ke rakha hota hai..aur shadi ke baad pati paalta hai..aur agar tumne majaal ki us Pinjre se bhagne ki fir tumko pakad ke laaya jaata hai aur aise pinjre me rkha jaata hai ki tum saans tak na le sako..Tumhari shadi tumhare marji ke khilaf go gayi na aur aage. Chalke tumhe koi acha lagne lagne to bhi tumhe compromise karna padega..kyuki tum Shadishuda ho..Tumhari apni marji nahi hai bas tunhare gharwalo ki marji hai..Tumko ek hi chij accept karke chalni padegi ki tum shadishuda ho..jo ki bahot bada compromise hai..iska asar ladkiyo pr jyada hota hai..bar bar unko ginaya jaata hai..ki tumhara pati chahe kuch bhi kare tumhe maare pite ya tumpe jabardasti kare..bas tumhe usi ke sath rahna hai..kyuki ye nisarg ki reet hai..Sach me kya ham ladkiyo ki jindgi ek ghode ki tarah ho gayi hai jiski naal hamesha gharwale chalaate hai..Kaise ji sakte hai aise..pati acha bhi ho na to bhi kaafi khush rah sakte hai..par jinke pati har wakt alag alag tarike se torcher kare to kyaa....jyaa ummid rahegi jine ki..aur to aur agar bachcha ho naa.tab to aisa compromise karna padta hai..Aurat kitni bhi capable ho acha khasa kama sakti ho..aur agar vo shadi todne ke liye soche na..Bahot matlab bahot ghinone iljam lagte hai..
Sabse pahle to jaogi kaha,kisi or ke pass,agar vo bole ki me akele rahne ke kabil hu to kahenge ki koi aurat akeli rahi he bhala aur jo rahti hai vo characterless hoti hai,kabhi kisine tumhara kuch fayda vayda uthaya to hamare muh par kalik lag jayegi ki kaise ladki ko hamne apne ghar me panaah di,aurato ko naa apne patiyo ke pairo tale rahna chaiye chahe vo jaan bhi le le na khushi khushi maut ka samna krna chaiye..Aur kya kami hai, tumhara pati tumko ghar baithe khila rha he,free fund ka paal raha hai aur kya chaiye aurto ko..baki aurate to nahi chodke jaati patiyo ko..kaise kaise oati hote he unke fir bhi vahi rhti hai...savitri ko nahi janti kyaa?? Are itna marpit karta tha uska pati use,daru bhi bahot pita tha lekin apne pati ko yamraj ke pass se chin ke laayi hai,aur sita aur raam ka pata hi hoga..Jab ravan ne unka kidnap kiya tha tab bhi log yahi bole na ki parpurush ke sath rahke ayi he apavitra hui honge...Sitaa ko Agnidahan karna pada tha khud ko sabit karne ke liye...to tum kya ho ek mamuli si aurat..Noch noch ke kha jayenge...

Un logo ko shayad ye nahi pata rahta ki shayad vo nochnewale yahi hai..Tabhi to koi aone ghar ko kyu chodna chahengr pr nahi...Jeene nahi denge aise log kisi ko...
Aur Vo bachche jo jindgibhar pyar ke bhuke the ki koi to to dil se lagaaye aur dur jaane na de hamesha apne paas rakhe..vo kabhi nahi ho pata..Ya to unhe apni jindgi suicide karke khatm karni padti hai..ya fir COMPROMISE ke sath jini padti hai..Vo kisi ko dil ki baat bata nahi sakte,Dil kisi se laga nahi sakte,Agar galtise kisi ko chahne lage to unki insecurities badh jaati hai..To aur akele ho jate hai..trust to karte hai par bahot gahra dard ghav chipa hota hai..Akele pan ki vajah se aur depression me jaate hai..Ankhoo me ansoo hi rah jaate hai..Sach to ye he..Aise log bas pyar,time aur care ke bhuke hote hai..Jo unko feel karvaye tum mere liye kitne special ho..Par aisa kabhi nahi hota..

Comments

Popular Posts